Thursday, June 26, 2008

Apna Ehsas Mar na jaye kahin...

Apna Ehsas Mar na jaye kahin

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin

Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin

Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin

Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin

Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Wasif
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

No comments: